Saraswati Mata Aarti
Jai Saraswati Mata,
Jai He Saraswati Mata Sadgun Vaibhav Shalini,
Tribhuvan Vikhyata,
Jai Saraswati....
Chandravadani Padmasini Dyuti Mangalakare,
Sohe Shub Hansa Savare,
Atul Tejdhari,
Jai Saraswati....
Baen Kar Men Vina,
Daen Kar Mala,
Shish Mukut Mani Sohe,
Gal Motiyan Mala,
Jai Saraswati....
Devi Sharan Jo Ae,
Unka Uddhar Kiya,
Paithi Manthra Dasi,
Ravan Sanhar Kiya,
Jai Saraswati....
Vidya Gyan Pradayini,
Jag Men Gyan Prakash Bharo,
Moh Aur Agyan Timir Ka Jag Se Nash Karo,
Jai Saraswati....
Dhup Dip Phal Meva,
Man Svikar Karo,
Gyanchakshu De Mata,
Jag Nistar Karo,
Jai Saraswati....
Man Saraswati Ki Arti Jo Koi Jan Gave,
Hitkari Sukhkari,
Gyan Bhakti Pave,
Jai Saraswati....




